Bedardi Se Pyar Ka Sahara Na Mila Lyrics - Jubin Nautiyal - Lyrics-Baba.in

Latest

Ocean of Lyrics

#

Tuesday, June 8, 2021

Bedardi Se Pyar Ka Sahara Na Mila Lyrics - Jubin Nautiyal

Bedardi Se Pyar Ka Sahara Na Mila Lyrics by Jubin Nautiyal featuring Gurmeet Choudhary, Sherine Singh, Kaashish Vohra, Altamash Faraz is a latest Hindi song. Music composed by Meet Bros and Bedardi Se Pyar Ka Sahara Na Mila Lyrics written by Manoj Muntashir.


Bedardi Se Pyar Ka Sahara Na Mila song details:

Song: Bedardi Se Pyaar Ka
Singer: Jubin Nautiyal
Lyrics: Manoj Muntashir
Music: Meet Bros
Cast: Gurmeet Choudhary,
Sherine Singh,
Kaashish Vohra,
Altamash Faraz
Label: T-Series

Bedardi Se Pyar Ka Sahara Na Mila Lyrics

Yeh soch ke dil mera
Zoron se dhadakta hai
Kisi aur ki chhat pe kyun
Mera chaand chamakta hai

Yeh soch ke dil mera
Zoron se dhadakta hai
Kisi aur ki chhat pe kyun
Mera chaand chamakta hai

Hum doob gaye jaana
Aankhon ke paani mein
Jaane woh kaise log the
Jinko kinaara mila

Bedardi se pyaar ka
Bedardi se pyaar ka sahara na mila
Sahara na mila
Aisa bichhda woh mujhko na dubara mila

Bedardi se pyaar ka sahara na mila
Aisa bichhda woh mujhko na dubara mila
Bedardi se pyaar ka

Humein pyaar ab dubara
Hona bahut hai mushkil
Chhoda kahan hai tumne
Humko kisi ke kaabil

Humein pyaar ab dubara
Hona bahut hai mushkil
Chhoda kahan hai tumne
Humko kisi ke kaabil

Humne chiraag leke
Chhaane hain raste saare
Paaya nahi kisi ko
Dil mein siwa tumhare

Kehte hain dhoondho to
Rab bhi mil jaata hai
Haaye naseeba ishq na humko
Humara mila

Bedardi se pyaar ka sahara na mila
Sahara na mila
Aisa bichhda woh mujhko na dubara mila

Har waqt andhera hai dil mein
Chahe dhoop rahe ya raat rahe
Kuchh bhi to nahi badla hum mein
Barbaad the hum barbaad rahe
Hum jiske liye duniya bhoole
Usko bhi kahan hum yaad rahe

Humein apne mukaddar se
Bas ek shikayat hai
Kya baat huyi kyun na sath humko
Tumhara mila
Bedardi se pyaar ka

Bedardi se pyaar ka sahara na mila
Sahara na mila
Aisa bichhda woh mujhko na dubara mila

Bedardi se pyaar ka sahara na mila
Aisa bichhda woh mujhko na dubara mila

Dubara mila!

Bedardi Se Pyar Ka Sahara Na Mila Video


No comments:

Post a Comment

Please do not enter spam link in the comment box.